About Solitary Raj

kuch waqt purani tumhe baat btata hoon,
kaise hua main barbaad ye kahani sunata hoon,

hum bhi the aam insano ki tarah apni zindagi ko khul ke jee rahe the,
dosto ke sang hasste the bolte the, khushi ke jaam pee rahe the,

ke phir achanak se dastak sunayi di kisi ki,
usse dekh kar mano ke koi hadd hi na rahi meri khushi ki,

dhire dhire main uske pyar me pagal sa hone laga,
din raat zamane ko bhool, uske khyalo me khone laga,

uspe bhi asar meri mohabbat ka khoob chha raha tha,
sach puchho to pahle pyar ka maza hum dono ko aa raha tha,

halki nok-jhok, mithe jhagdo aur beshumar pyar ke sath din guzarte gaye,
sath sath hum unpe aur bhi jada shiddat se marte gaye,

phir aagya wo din jo har ashiq ki kismat me zaroor hota hai,
sacha pyar har baar kurbani dene ke liye majboor hota hai,

aayi wo mere paas kuch majbooriya kuch bhane le kar,
hum ab ek nahi ho sakte aise hi kuch fasane le kar,

ho sake to maaf karna mera isme koi kasoor na tha,
maine bhi hass ke usse vida kiya,
mujhe laga ke main itna kamjor na tha,

magar jaise jaise din uski vidayi ke nazdik aate gaye,
gum ke kale saye mujh par waise waise chhate gaye,

wo mujhe chord ker chali gayi apne ghar,
main usse dhondhta hua firta raha dar badar,

uske gum me mujhe bimariyon ne gher liya tha,
mujhe uski yaad ne din raat tardap tardap ke marne pe majboor kiya tha,

kuch waqt me hi main pure shahar me badnaam ho gaya,
ek abhagi maa ka achha beta kisi ki yaado me kho kar gumnaam ho gaya,

ab sab ko mohabbat karne se rokna hi kaam hai mera,
koi ek bhi bach jaye meri wajah se,
to samjhunga ki yahi inaam hai mera.

2 comments:

  1. Kasm se yr bhut sukun Mila ye blog read kar..ke..achanka kuch yaado me kho gya lakin jab apka about pada tho fir zindgi ko ek naya fasana Mila..

    ReplyDelete

All Time's Favourite Posts